Shrina Vaidik : Got a place to write and share my thinking and notions, especially to explore myself and the place is called "My World" which actually is my blog. A short intro could be : An inquisitor by birth and a believer by choice. In a ship of relations with this world knowingly-unknowingly, naturally-unnaturally, choicely-without choice ^_^
Saturday, June 25, 2011
Sunday, June 19, 2011
Kyun kahoon ki.....???
क्यूँ कहूँ कि कहना है बहुत कुछ तुमसे,
क्यूँ कहूँ कि आज नाराज़ हूँ तुमसे,
तुमने तो सुनकर भी की अनसुनी मेरी,
समझाने पर भी नहीं समझे बातें मेरी,
दर्द इतना भी नहीं कि बाँट नहीं सकती तुमसे,
लेकिन मन कहता है कि आखिर क्यूँ बाँटू तुमसे,
तुमसे उम्मीदें कर रखी थी कुछ,
कि बिन बोले ही समझ जाओगे सबकुछ,
मेरी वो उम्मीदें खोखली निकली,
शायद सब मेरी ग़लत-फ़हमियाँ निकली,
फिर भी सब सुलझाने को करता है मन,
लेकिन फिर से ना जाने क्यूँ मुझे रोकता है ये मन,
कि क्यूँ कहूँ कि कहना है बहुत कुछ तुमसे,
कि क्यूँ कहूँ कि आज नाराज़ हूँ तुमसे |
------------------------------------------------------------------------
Kyun kahoon ki kehna hai bahut kuchh tumse,
Kyun kahoon ki aaj naraaz hoon tumse,
Tumne to sunkar bhi ki ansuni meri,
Samjhaane par bhi nahi samjhe baatein meri,
Dard itna bhi nahi ki baant nahi sakti tumse,
Lekin mann kehta hai ki aakhir kyun baantun tumse,
Tumse ummeedein kar rakhi thi kuchh,
Ki bin bole hi samajh jaoge sabkuchh,
Meri woh ummeedein khokhli nikli,
Shaayad sab meri galat-fehmiyaan nikli,
Phir bhi sab suljhaane ko karta hai mann,
Lekin phir se naa jaane kyun, mujhe rokta hai yeh mann,
Ki kyun kahoon ki kehna hai bahut kuchh tumse,
Ki kyun kahoon ki aaj naraaz hoon tumse.